|
Dost -
Friend
Ae dost tum
se tark-e- ta'alluq ke baavajuud
mahasuus kii hai terii zaruurat kabhii kabhii
Sahir Ludhianvi
Khudaa jab
dost hai ai "Daag" kyaa dushman se andeshaa
hamaaraa kuchh kisii kii dushmanii se ho nahiin sakataa
Daag Dehlvi
Yon lage
dost teraa mujhse Khafaa ho jaanaa
jis tarah phuul se kushbuu kaa judaa ho jaanaa
Qateel Shifai
bhuul
shayad bahut badi kar li
dil ne duniyaa se dostii kar li
Bashir Badr
dost ban
ban ke mile mujhako mitaanevaale
main ne dekhe hain kaii rang badalanevaale
Saeed Rahi
main muddaton jiyaa huun kisii dost ke baghair
ab tum bhii saath chhodne ko kah rahe ho, Khair
Firaq Gorakhpuri
tum
takalluf ko bhii iKhlaas samajhate ho "Faraz"
dost hotaa nahiin har haath milaane vaalaa
Ahmed Faraz
saaf kab
imtihaan lete hain, vo to dam deke jaan lete hain
zid har ek bat men nahin achchhii, dost kii dost maan lete hain
Daag Dehlvi
vo meraa dost hai saare jahaan ko
hai maaluum
dagaa kare vo kisii se to sharm aaye mujhe
Qateel Shifai
ai dost
yuun to ham terii hasarat ko kyaa kahen
lekin ye zindagi bhi koii zindagii nahin
Firaq Gorakhpuri
hamen bhii
doston se kaam aa padaa yaanii
hamaare doston ke bevafaa hone kaa vaqt aayaa
Hari Chand Akhtar
nahiin gar
hamdardii aasaan na ho ye rashk kyaa kam hai
na dii hotii Khudaayaa aarazuu-e-dost dushman ko
Mirza Ghalib
doston se aaj mulaaqaat kii shaam hai
ye sazaa kaat ke phir apne ghar ko jaaungaa
Mazhar Imam
dostii jab
kisii se kii jaaaye
dushmanon kii bhii raay lii jaaye
Raha Indori
badagumaan ho ke mil aaii dost jo milanaa hai tujhe
ye jhijhakte hue milnaa koi milnaa bhi nahiin
Firaq Gorakhpuri
dushmanon
se pashemaan honaa pa.daa
doston kaa Khuluus aazamaane ke baad
Khumar Barabankvi
hataaye thhe jo raah se doston kii
vo patthar mere ghar men aane lage hain
Khumar Bbarabankvi
giregii kahaan ye barq dosto
meraa to kahiin aashiyaan bhii nahin
Mumtaz Mirza
kyaa lutf-e-dostii ki nahiin lutf-e-dushmanii
dushman ko bhii jo dekhiye puuraa kahaan hai ab
Daag Dehlvi
vo zamaanaa bhi tumhen yaad hai tum kahte thhe
dost duniyaa men nahin "Daag" se bahatar apanaa
Daag Dehlvi
merii khushii se mere doston ko gham hai "Shamim"
mujhe bhii is kaa bahut gham hai kyaa kiyaa jaaye
Shamim Jaipuri
ye kahaan kii dostii hai ke bane hain dost naaseh
koii chaarasaaz hotaa koi gham_gusaar hotaa
Mirza Ghalib
laakh be-mehar
sahii dost to rakhate ho "Faraz"
inhe.n deKho ke jinhe.n ko_ii bhii sitamagar na milaa
Ahmed Faraz
ai dost mit gayaa huun fanaa ho gayaa hun main
is daur-e-dostii kii davaa ho gayaa hun main
[Hafeez Jullundhary]
Dhuudne par bhii na milataa thaa mujhe apnaa vajuud
main talaash-e-dost mein yun benishaan thha dosto
Jagannath
Azad
mere hamnafas mere hamnavaa, mujhe dost banke daga na de
main huun dared ishq se jaan balab
Mujhe
zindagi ki dua na de
Shakeel Badayuni
har taraf ziist kii raahon mein kadii dhuup hai dost
bas terii yaad ke saaye hain panaahon kii tarah
Sudarshan Faakir
ziist -life panaah –
shelter/protection
Khvaab
Aao Ki ko_ii Khvaab Bune.n
Aao ki ko_ii Khvaab bune.n kal ke vaaste
varanaa ye raat aaj ke sangiin daur kii
Das legii jaan-o-dil ko kuchh aise ki jaan-o-dil
taa-umr phir na ko_ii hasii.n Khvaab bun sake.n
[bunanaa = to weave; sangiin daur = hard/difficult times]
[Das lenaa = to bite; taa-umr = entire life]
Go ham se bhaagatii rahii ye tez-gaam umr
Khvaabo.n ke aasare pe kaTii hai tamaam umr
[tez-gaam = fleet-footed]
zulfo.n ke Khvaab, ho.nTho.n ke Khvaab, aur badan ke Khvaab
meraaj-e-fan ke Khvaab, kamaal-e-suKhan ke Khvaab
[meraaj-e-fan = (to reach) summit of art; kamaal-e-suKhan = perfection in poetry]
tahaziib-e-zindagii ke, faroG-e-vatan ke Khvaab
zindaa.N ke Khvaab, kuuchaa-e-daar-o-rasan ke Khvaab
[tahaziib-e-zindagii = civilized life; faroG-e-vatan = nation's progress/upliftment]
[zindaa.N = prison; kuuchaa-e-daar-o-rasan = road leading to the gallows]
ye Khvaab hii to apanii javaanii ke paas the
ye Khvaab hii to apane amal ke asaas the
ye Khvaab mar gaye hai.n to be-rang hai hayaat
yuu.N hai ki jaise dast-e-tah-e-sang hai hayaat
[amal = work; asaas = foundation; hayaat = life]
[dast-e-tah-e-sang = hands crushed under a stone (helpless)]
aao ki ko_ii Khvaab bune.n kal ke vaaste
varanaa ye raat aaj ke sangiin daur kii
Das legii jaan-o-dil ko kuchh aise ki jaan-o-dil
taa-umr phir na ko_ii hasii.n Khvaab bun sake.n
Sahir Ludhianvi
Khvaab is aa.Nkho.n se ab
ko_ii churaa kar le jaaye
Qabr ke suukhe huye phuul uThaa kar le jaaye
Mu.ntazir phuul me.n Khushbuu
kii tarah huu.N kab se
Ko_ii jho.nke.n kii tarah aaye u.Daa kar le jaaye
[mu.ntazir=waiting] Bashir
Badr
ShaaKho.n
me.n Khayaalo.n ke ghane pe.D kii shaayad
ab aake karegaa na ko_ii Khvaab baseraa
Faiz Ahmad
faiz
Khvaab kii tarah bikhar jaane ko jii chaahataa hai
aisii tanhaa_ii ki mar jaane ko jii chaahataa hai
Iftikhar
Ali
Khvaab Marte Nahin
Khvaab kii tarah se hai yaad ke tum aaye the
jis tarah daaman-e-mashriq me.n sahar hotii hai
zarre zarre ko tajallii kii Khabar hotii hai
aur jab nuur kaa sailaab guzar jaataa hai
raat bhar ek andhere me.n basar hotii hai
kuchh isii tarah se hai yaad ke tum aaye the
Jagannathh Aazad
Khvaab marate nahii.n
Khvaab dil hai.n na aa.Nkhe.n na saa.Nse.n ke jo
rezaa-rezaa hue to bikhar jaaye.nge
jism kii maut se ye bhii mar jaaye.nge
Khvaab marate nahii.n
Khvaab to raushanii hai.n, navaa hai.n, havaa hai.n
jo kaale pahaa.Do.n se rukate nahii.n
zulm ke dozaKho.n se bhii phukate nahii.n
raushanii aur navaa aur havaa ke aalam
maqtalo.n me.n pahu.Nch kar bhii jhukate nahii.n
Khvaab to harf hai.n
Khvaab to nuur hai.n
Khvaab to suqraat hai.n
Khvaab mansuur hai.n
Faiz Ahmad Faiz
Khvaab thaa yaa Khayaal thaa kyaa thaa
hijr thaa yaa visaal thaa kyaa thaa
chamakii bijalii sii par na samajhe ham
husn thaa yaa jamaal thaa kyaa thaa
Mussafi
Khvaabo.n me.n tere gar merii Khvaahish nahii.n hogii
mujhase terii aa.Nkho.n kii parastish nahii.n hogii
Farhat Shahzad
Intezaar
ye na thii
hamaarii qismat ke visaal-e-yaar hotaa
agar aur jiite rahate yahii intazaar hotaa
Mirza Ghalib
tamaam umr
teraa intazaar ham ne kiyaa
is intazaar mein kis kis se pyaar ham ne kiyaa
Hafiz Hoshiarpuri
ham intazaar karenge teraa qayaamat tak
Khudaa kare ki qayaamat ho aur tuu aaye
Sahir Ludhianvi
tamaam umr
teraa intazaar kar lenge
magar ye ranj rahegaa ki zindagii kam hai
Shahid Siddiqi
ab to uTh sakataa nahii.n aankhon se baar-e-intazaar
kis tarah kaate ko_ii lail-o-nahaar-e-intazaar
un kii ulfat kaa yaqii.n ho un ke aane kii ummiid
ho.n ye donon suuraten tab hai bahaar-e-intazaar
un ke Khat kii aarazuu hai un ke aamad kaa Khayaal
kis qadar phailaa huaa hai kaarobaar-e-intazaar
Hasrat Mohani
intazaar hii rahaa o subah teraa
kaalii raat ke saaye mein ab dil TuuT gayaa
Mauj Meeruthi
jo bhii bichha.De hai.n kab mile hai.n 'Faraz'
phir bhii tuu intazaar kar shaayad
Ahmad Faraz
lutf jo us ke intazaar me.n hai
vo kahaa.N mausam-e-bahaar mein hai
unknown
vo mazaa kahaa.N vasl-e-yaar mein
lutf jo milaa intazaar me.n
'Fana' Nizami Kanpuri
ai intazaar-e-jaanaa ham jaanaten hain tujhe
kaaTii hai raat ham ne karavaT badal badal ke
Unknown
Gazab kiyaa, tere vaade pe aitabaar kiyaa
tamaam raat qayaamat kaa intazaar kiyaa
Daag Dehlvi
umr-e-daraaz maa.Ng kar laaye the chaar din
do arazuu me.n kaT gaye do intazaar me.n
Bahadur Shah Zafar
shab-e-intazaar kii kash-ma-kash na puuch kaise sahar hu_ii
kabhii ik chiraaG jalaa diyaa kabhii ik chiraaG bujhaa diyaa
Majrooh Sultanpuri
baaG-e-bahisht se mujhe hukm-e-safar diyaa thaa kyo.N
kaar-e-jahaa.N daraaz hai ab meraa intazaar kar
Allam Iqbal
luuTe maze usii ne tere intazaar ke
jo hadd-e-intazaar se aage nikal gayaa
Asar Lucknawi
ko_ii aayaa na aayegaa lekin
kyaa karen gar na intazaar karen
Firaq Gorakhpuri
maut kaa intazaar baaqii hai
aap kaa intazaar thaa na rahaa
Fani Badayuni
jaan-e-sukuun aa bhii jaa teraa hii intazaar hai
aankhon se ashk hai ravaa.N jaa.N bhii beqaraar hai
hone ko fasl-e-gul bhii hai daavat-e-aish hai magar
apanii bahaar kaa mujhe aaj bhii intazaar hai
Yahya Jasdanwalla
din guzar gayaa aitabaar me.n
raat kaT gaii intazaar me.n
'Fana' Nizami Kanpuri
ik umr kaT ga_ii hai tere intazaar me.n
aise bhii hai.n ke kaT na sakii jin se ek raat
Firaq Gorakhpuri
kuchh din ye bhii rang rahaa intazaar me.n
aa.nkh uTh ga_ii jidhar bas udhar dekhate rahe
Asar Lucknawi
jis mo.D par kiye the ham intazaar baraso.n
us se lipaT ke roye diivaanaavaar baraso.n
Sudarshan Faakir
paiGaam zindagii ne diyaa maut kaa mujhe
marane ke intazaar me.n jiinaa pa.Daa mujhe
Safi Lucknawi]
be-Khudii le gaii kahaa.N ham ko
der se intazaar hai apanaa
Meer Taqi Meer
terii raaho.n me.n baarahaa ruk kar
ham ne apanaa hii intazaar kiiyaa
Gulzar
mujh ko ye aarazuu vo uThaaye.n naqaab Khud
un ko ye intazaar taqaazaa kare ko_ii
Majaz
taa phir na intazaar me.n nii.nd aaye umr bhar
aane kaa ahad kar gaye aaye jo Khwaab me.n
Mirza Ghalib
jab nigaahe.n uTh ga_ii.n allaah re meraaj-e-shauq
dekhataa kyaa huu.N vo jaan-e-intazaar aa hii gayaa
Jigar Moradabadi
ab kii baras bhii vo nahii.n aayaa bahaar me.n
guzaregaa aur ek baras intazaar me.n
Payam
Saeedi
kahaa.N hai tuu ke tere intazaar me.n ai dost
tamaam raat sulagate rahe dil ke viiraane
Nasir Kazmi
roz jiitaa huaa roz marataa huaa
har naye din nayaa intazaar aadamii
Nida Fazli
vo na aayegaa hame.n maaluum thaa us shaam bhii
intazaar us ka magar kuchh soch kar karate rahe
Parveen Shakir
aaj ashko.n kaa taar TuuT gayaa
rishtaa-e-intazaar TuuT gayaa
Saifuddin Saif
na jis kii shakl hai ko_ii na jis kaa naam hai ko_ii
ik aisii shai kaa kyo.n hame.n azal se intazaar hai
Shahryar
tum aaye ho na shab-e-intazaar guzarii hai
talaash me.n hai sahar baar baar guzarii hai
Faiz Ahmad Faiz
ik intazaar saa thaa ab nazar me.n vo bhii nahii.n
safar me.n marane kii fursat thii ghar me.n vo bhii nahii.n
Mahashar Badayuni
TuuTii jo aas jal gaye palko.n pe sau chiraaG
nikharaa kuchh aur rang shab-e-intazaar kaa
Mumtaz Mirza
ab kis ke intazaar me.n jaage.n tamaam shab
vo saath ho to niind me.n kaise Khalal pa.De
Shehzad Ahmed
merii naash ke sirhaane vo kha.De ye kah rahe hai.n
ise niind yuu.N na aatii agar intazaar hotaa
Safi Lucknawi
Gam-e-hayaat se dil ko abhii nijaat nahii.n
nigaah-e-naaz se kah do ki intazaar kare
Shakeel Badayuni
na koii vaadaa na koii yaqii.n na koii ummiid
magar hamen to teraa intazaar karnaa thaa
Firaq Gorakhpuri
Khizaa.N ke rang me.n abhii bahaar baaqii hai
chiraaG-e-sahar hai par intazaar baaqii hai
Azra Adil Rashid
mai.n zindaa thaa ki teraa intazaar Khatm na ho
jo tuu milaa to ab sochataa huu.N mar jaa_uu.N
Ahmed Nadeem Qasmi
phir baiThe baiThe vaadaa-e-vasl us ne kar liyaa
phir uTh kha.Daa huaa vahii rog intazaar kaa
Ameer Minai
lauT aa_uu.Ngaa surKh-ruu ho kar
saaraa lashkar is intazaar me.n thaa
Anees
Amrohvi
haalaat kah
rahe hai.N ki ab vo na aayenge
ummiid kah
rahii hai zaraa intazaar kar
Irfan 'Abid'
duniyaa to Khair chho.D ke aage nikal gaii
tum ne bhii intazaar hamaaraa nahiin kiyaa
Irfan Abid
Khushboo
Mohabbat ek
khushboo hai hamesha saathh rahti hai
Koi insaan
tanhaai mein tanha nahin rahta
Khushboo
kisiki yaad ki phir paas aayee hai
Mahka hua
hai aaj mera ghar ka ghar tamaam
Dil se
yaadon ki khushboo na nikli kabhi
Main khizan
mein bhi aksar mahakta raha
Bas gayee
hai mere ehsaas mein kuchh aisi mahak
Koi
khushboo main lagaoon teri khushboo aaye
Dil ka har
gosha munawwar hai haseen yaadon se
Meri season
mein abhi tak hai tumhari khushboo
Khushboo ki
tarah jeena bhi aasaan to nahin
Phoolon se
qtra qatra nichora gaya mujhe
Who to
khushboo hai fizaaon mein bikhar jaayega
Sochna
phool ka hai phool kidhar jayega
Who qurb ke
lamhat agar bhool bhi jaayen
Barson
hamen tarpaayegi ehsaas ki khushboo
Mit gaye
merei umeedon ki tarah harf magar
Aaj tak
tere khatoot se teri khushboo na gayee
Mahsoos to
karta hoon magar chhoo nahin sakta
Tu phool
nahin phool ki khushboo ki tarah hai
Sab yeh
kahten hain laga rakhi hai khushboo maine
Unki yaadon
se mahakta hoon koi kya jaane
Ab tak
wahan udte hain khushboo ke qaafle
Bhoole se
jahan rakh diya aap ne qadam
Paate hain
kuchh gulab chatanon mein parvarish
Aati hai
pattharon se bhi khushboo kabhi
Manzil
Kabhii yuun bhii to ho
Suunii har manzil ho
Koii na mere saath ho
Aur tum aao
Mujhe sahal ho gaiin manzilen vo havaa ke rukh bhii badal gae
Teraa haath haath mein aa gayaa ke chiraag raah mein jal gae
Jagannath Azad
Ab meraa safar tanhaa ab us kii judaa manzil
Puuchho na pataa us kaa tum mere thikaane se
Saeed Rahi
Jab pyaas javaan ho jaayegii ehasaas kii manzil paayegii
Khaamosh rahenge aur tumhen ham apanii kahaanii kah denge
Ibrahim Ashk
Raah taariik hai aur duur hai manzil lekin
Dard kii shamaen jalaa lenge tum aao to sahii
Mumtaz Mirza
Kabhii taqdiir kaa maatam kabhii duniyaaa kaa gilaa
Manzil-e-ishq mein har gaam pe ronaa aayaa
Shakeel Badayuni
Ye kyaa uthaaye qadam aur aa gaii manzil
Mazaa to jab hai ke pairon men kuchh thakaan rahe
Rahat Indori
Manzilen duur bhii hain manzilen nazadiik bhii hain
apane hii paaon mein zanjiir padii ho jaise
Ahmad Faraz
Tum duur khade dekhaa hii kiye aur duubane vaalaa duub gayaa
Saahil ko tum manzil samajhe tum lazzat-e-dariyaa kyaa jaano
(saahil = shore; lazzat = pleasure/enjoyment)
Behzad Lucknawi
Ulfat kii naii manzil ko chalaa, tuu baanhein daal ke baanhon mein
Dil todane vaale dekh ke chal, ham bhii to pade hain raahon mein
Qateel Shifai
Duur hai manzil raahen mushkil aalam hai tanahaaii kaa
Aaj mujhe ehasaas huaa hai apani shikastaapaaii kaa
[shikastaah_paaii=infirmity of the feet]
Shakeel Badayuni
Manzil-e-jaanaan ko jab ye dil ravaan thaa dosto
Tum ko main kaise bataauun kyaa samaan thaa dosto
Shakeel Badayuni
Manzile.n aavaaz detii rah gaii.n
Ham pahunch jaate magar rastaa na thaa
Ibrahim Ashk
Safar-e-manzil-e-shab yaad nahiin
Log rukhsat huye kab yaad nahiin
(rukhsat - to leave)
Nasir Kazmi
Nahiin nigaah mein manzil to justajuu hii sahii
Nahiin visaal mayassar to aarazuu hii sahii
Faiz Ahmad Faiz
Har manzil-e-hayaat se gum kar gayaa mujhe
Mud mud ke raah mein vo teraa dekhanaa mujhe
Sagar Nizami
Ik ik kar ke huye jaate hain taare raushan
Merii manzil kii taraf tere qadam aate hain
Faiz Ahmad Faiz
Manzil milii muraad milii mudda'a milaa
Sab kuchh mujhe milaa jo teraa naqsh-e-paa milaa
(muraad = desire/wish; mudda'a = meaning/desire)
Seemab Akbarabadi
Ai jazbaa-e-dil gar main chaahuun har chiiz muqaabil aa jaaye
Manzil ke liye do gaam chaluun aur saamane manzil aa jaaye
Behzad Lucknawi
Manzil ke liye do gaam to kyaa ik gaam bhii chal kar na jaa_uun
Jab Khvaahish-e-manzil paidaa ho Khud saamane manzil aa jaaye
Unknown
kahiin to kaaravaan-e-dard kii ma.nzil Thahar jaaye
kinaare aa lage umr-e-ravaan yaa dil Thahar jaaye
Faiz Ahmad Faiz
Kyaa huaa husn ham_safar hai yaa nahiin
Ishq manzil hii manzil hai raastaa nahiin
Khumar Barabankvi
Vo saath thaa to manzilen nazar nazar chiraag thiin
Qadam qadam safar mein ab koii bhii lab duaa nahiin
Iftikhar Imam Siddiqui
Raastaa bhuul gayaa yaa yahaan manzil hai merii
Koii laayaa hai yaa Khud aayaa huun maaluum nahiin
Kaifi Azmi
Ham tere shahar mein aaye hain musaafir kii tarah
Sirf ek baar mulaaqaat kaa mauqaa de de
Merii manzil hai kahaa.N meraa Thikaanaa hai kahaan
Subah tak tujh se bichha Dakar mujhe jaanaa hai kahaan
Sochane ke liye ek raat kaa mauqaa de de
Qaiser ul Jafri
Ab na koii manzil hai aur na rah guzar koii
Jaane qaafilaa bhatake ab kahaan kahaan yaaro
Himayat Ali Shayar
Ye aur baat ki manzil pe ham pahunch na sake
Magar ye kam hai ki raahon ko chhaan baiThe hain
Sagar Siddiqui
Khud ko yuun mahasuur kar baithaa huun apanii zaat mein
Manzilein chaaron taraf hai raastaa koii nahiin
(mahasuur = surrounded; zaat = self/one's personality)
Ahmad Faraz
Idhar udhar kaii manzil hain chal sako to chalo
Bane banaaye hain saanche jo Dhal sako to chalo
Nida Fazli
Kyaa jaaniye manzil hai kahaan jaate hain kis simt
BhaTakii huii is bhiid mein sab soch rahe hain
(simt = direction)
Muhabbat mein Khayaal-e-saahil-o-manzil hai naadaanii
Jo in raahon mein lut jaaye vahii taqadiir vaalaa hai
Ali Ahmad Jalili
Sirf ek qadam uthaa thaa ghalat raah-e-shauq mein
Manzil tamaam umr hamen dhuundhatii rahii
Abdul Hameed 'Adam'
Tanhaaii kii ye kaun sii manzil hai rafiiqo
Taa-hadd-e-nazar ek bayaabaan saa kyuun hai
Shaharyar
Kabhii
Kabhii kabhii yuun bhii hamne
apne hii ko bahlaayaa hai
Jin baaton ko Khud nahiin samjhe auron ko samajhaayaa hai
Nida Fazli
Kabhii aah lab pe machal gaii
kabhii ashk aankh se dhal gaye
Vo tumhaare gham ke chiraag hain kabhii bujh gaye kabhii jal gaye
Rashid Kaamil
Kabhii Khaamosh baithogii
kabhii kuchh gun_gunaaogii
main utnaa yaad aauungaa mujhe jitnaa bhulaaogii
Nazeer Banarasi
Kabhii jo main ne masarrat
kaa ehatamaam kiyaa
Bade tapaak se gham ne mujhe salaam kiyaa
Khumar Baranbankvi
Kabhii mujh ko saath lekar,
kabhii mere saath chal kar
Vo badal gaye achaanak merii zindagii badal kar
Ehsan Daanish
kabhii Khvaabon mein milaa vo
to Khayaalon mein kabhii
Raah chalte na milaa din ke ujaale mein kabhii
Salman Akhtar
Kabhii to aasmaan se chaand
utre jaam ho jaaye
Tumhaare naam kii ik Khuubasuurat shaam ho jaaye
Bashir Badr
Kabhii Aansuu kabhii Khushii
bechii
Ham Gariibon ne bekasii bechii
Abu Taalib
Kabhii ai haqiiqat-e-mu.ntazir nazar aa libaas-e-majaaz me.n
Ke hazaaron sajde tadap rahe hain terii jabiin-e-niyaaz me.n
Iqbal
Kabhii jo nikhat-e-zulf-e-nigaar aaii hai
Fazaa-e-murdaa-e-dil men bahaar aaii hai
Kausar Niyazi
Kabhii kabhii mere dil mein Khayaal aataa hai...
Ke zindagii terii zulfon kii narm chaaon men
Guzarane paatii to shaadaab ho bhii sakatii thii
Ye tiirgii jo merii ziist kaa muqaddar hai
Terii nazar kii shuaaon me.n kho bhii sakatii thii
Sahir Ludhianvi
Kabhii kabhii yaad mein ubharate hain naqsh-e-maazii mite mite se
Vo aazamaaish sii dil-o-nazar kii, vo qurabaten sii vo faasale se
Faiz Ahmad Faiz
Kabhii kahaa na kisii se tere fasaane ko
Na jaane kaise Khabar ho gaii zamaane ko
Qamar Jalalabadi
Kabhii kisii ko mukammal jahaan nahiin miltaa
kahiin zamiin to kahiin aasmaan nahiin miltaa
Shaharyar
Kabhii kitaabon mein phuul rakhnaa
kabhii darakhton pe naam likhnaa
hamen bhii hai yaad aaj tak vo
nazar se harf-e-salaam likhnaa
Hasan Rizvi
Kabhii mujh ko saath lekar, kabhii mere saath chal kar
Vo badal gaye achaanak merii zindagii badal kar
Ehsan Daanish
Kabhii nekii bhii uski jii mein aa jaaye hai mujhse
Jafaayen karke apanii yaad sharmaa jaaye hai mujhse
Ghalib
Kabhii paabandiyon se chhuut ke bhii dam ghutne lagtaa hai
Dar-o-diivaar ho jin mein vahii zindaan nahiin hotaa
Firaq Gorakhpuri
Kabhii shaaKh-o-sabz-o-barg par kabhii Gu.Nchaa-o-gul-o-Khaar par
Mai.n chaman me.n chaahe jahaa.N rahuu.N meraa haq hai fasal-e-bahaar par
(shaakh=branch; sabz=verdant/greenery; barg=leaf)
Jigar Moradabadi
Kabhii to khul ke baras abr-e-meharabaan kii tarah
Meraa vajuud hai jalate hue makaan kii tarah
pm Warbartni
Kabhii yuun bhii to ho
Dariyaa kaa saahil ho
Puure chaand kii raat ho
Aur tum aao
Kabhii yuun bhii to ho
Pariyon kii mahfil ho
Koii tumhaarii baat ho
Aur tum aao
Kabhii yuun bhii to ho
Ye narm mulaayam Thandii havaayen
Jab ghar se tumhaare guzaren
Tumhaarii Khushbuu churaayen
Mere ghar le aayen
Kabhii yuun bhii to ho
Suunii har manzil ho
Koii na mere saath ho
Aur tum aao
Kabhii yuun bhii to ho
Ye baadal aisaa Tuut ke barase
Mere dil kii tarah milne ko
Tumharaa dil bhii tarse
Tum niklo ghar se
Kabhii yuun bhii to ho
Tanahaaii ho, dil ho
Buunden ho, barsaat ho
Aur tum aao
Kabhii yuun bhii to ho
Javed Akhtar
Duniya
Duniyaa jise kahate hai.n jaaduu kaa khilonaa hai
mil jaaye to miTTii hai kho jaaye to
Nida Fazli
Duniyaaa ke sitam yaad na apanii hi vafaa yaad
ab mujh ko nahii.n kuchh bhii muhabbat ke sivaa yaad
Jigar Moradabadi
Duniyaa kisii ke pyaar me.n jannat se kam nahii.n
ik dil_rubaa hai dil me.n jo huuro.n se kam nahii.n
Unknown
Duniyaa me.n huu.N duniyaa kaa talab_gaar nahii.n huu.N
baazaar se guzaraa huu.N Khariidaar nahii.n huu.N
Akbar Allahabadi
Duniyaa me.n kaun kaun na yak baar ho gayaa
par muu.Nh phir is tarf na kiyaa us ne jo gayaa
Khwaja Meer Dard
Duniyaa ne ham pe jab ko_ii ilzaam rakh diyaa
ham ne muqaabil us ke teraa naam rakh diyaa
Qateel Shifaii
Duniyaa se dil lagaakar duniyaa se kyaa milegaa
yaad-e-Khudaa kiye jaa tujh ko Khudaa milegaa
Chiragh Hassan Hasrat
Duniyaa se wafaa karake silaa Dhuu.NDh rahe hai.n
ham log bhii nadaa.N hai.n ye kyaa Dhuu.NDh rahe hai.n
Sudarshan Faakir
Baazeechaa-e-atfaal hai duniya mere aage
hota hai shab-o-roz tamaasha mere aage
Ghalib
[The world is like children's playground before me
Every day & night, a spectacle/fair/exhibition unfolds before me]
Hain aur bhi duniya mein sukhanwar bahut achchhe
Kahte hain ke Ghalib ka Hai andaz-e-bayan aur
Ghalib
Phir is dunya se ummid e vafa hai
Tujhe ae zindugi kya ho gayaa hai
Barri zaalim nihaayat bevafaa hai
Duniya phir bhi kitni Khushnuma hai
Unknown
Duniyaa banii to hamd-o-sunaa ban ga_ii Gazal
Utaraa jo nuur nuur-e-Khudaa ban ga_ii Gazal
Ganesh Bihari Tarz
Zindagii
ujaale apanii yaadon ke hamaare
saath rahane do
na jaane kis galii mein zindagii kii shaam ho jaaye
Bashir Badr
yuun zindagii guzaar rahaa huun tere baghair
jaise koii gunaah kiye jaa rahaa huun main
Jigar Moradabadi
vahii qaafile vahii raaste vahii zindagii vahii marhale
magar apane apane muqaam par kabhii tum nahiin kabhii ham nahiin
Shakeel Badayuni
tamaam umr teraa intazaar kar lenge
magar ye ranj rahegaa ki zindagii kam hai
Shahid Siddiqi
Zindagi jab bhi teri bazm main laatii hai hamein
Yeh zameen chaand se behtar nazar aatii hai hamein
Shahryar
yahii hai zindagii kuchh Khaak chand ummiiden
inhiin khilaunon se tum bhii bahal sako to chalo
Nida Fazli
vahii hai zindagii lekin "Jigar" ye haal hai apanaa
ke jaise zindagii se zindagii kam hotii jaatii hai
Jigar Moradabadi
zindagii yuun huii basar tanhaa
qaafilaa saath aur safar tanhaa
Gulzar
ai aashiq na puuch zindagii kyaa hai
zindagii to taKhallus hai muhabbat kaa
Unknown
zindagii maut ban gaii hotii jaan se ham guzar gaye hote
itane ishrat zadaa hain ham ke agar Gam na hotaa to mar gaye hote
Kunwar Mahinder Singh Bedi
merii zindagii bhii merii nahiin ye hazaar Khaanon mein bat gaii
mujhe ek mutthii zamiin de ye zamiin kitanii simat gaii
Bashir Badr
tahii zindagii se nahiin ye fizaayen
yahaan saikadon kaaravaan aur bhii hain
Allama Iqbal
amal se zindagii banatii hai jannat bhii jahannum bhii
ye khaakii apanii fitrat mein na nuurii hai na naarii hai
Allama Iqbal
zindagii jabr-e-musalsal kii tarah kaTii hai
jaane kis zulm kii paa_ii hai sazaa yaad nahiin
Sagar Siddiqui
zindagii tujh se ummiid-e-vafaa kyaa rakkhuun
jab mujhe chhod gaye dost puraane mere
Muzaffar Warsi
zindagii kii baat sun kar kyaa kahen
ek tamannaa thii taqaazaa ban gaii
Himayat Ali Shayar
zindagii ek daud hai to saans phuulegii zaruur
yaa badal mafhuum us kaa yaa phir fariyaad na kar
Sharif Kanjahi
zindagii yuun bhii guzar hii jaatii
kyon teraa raahaguzar yaad aayaa
Mirza Galib
maut kaa bhii ilaaj ho shaayad
zindagii kaa koii ilaaj nahiin
Firaq Gorakhpuri
vo aaye hain pashemaan laash par ab
tujhe ai zindagii laauun kahaan se
Momin Khan Momin
rahegaa saath teraa pyaar zindagii ban kar
ye aur baat merii zindagii vafaa na kare
Qateel Shifai
zindagii main bhii chaluunggaa tere piichhe piichhe
tuu mere dost kaa naqsh-e-kaf-e-paa ho jaanaa
Qateel Shifai
lamhaat-e-yaad-e-yaar ko sarf-e-duaa na kar
aate hain zindagii mein ye aalam kabhii kabhii
Shakeel Badayuni
un kii yaad, un kii tamannaa, un kaa gham
kat rahii hai zindagii aaraam se
Shakeel Badayuni
gesuuon ke saaye mein aaraam-kash
sar-barahanaa zindagii thii main na thaa
Abdul Hameed Adam
zindagii phailii huii thii shaam-e-hijraan kii tarah
kis ko itanaa hausalaa thaa kaun jii kar dekhataa
Ahmed Faraz
zindagii terii ataa thii so tere naam kii hai
ham ne jaise bhii basar kii teraa ehasaan jaanaan
Ahmed Faraz
kam se kam maut se aisii mujhe ummiid nahiin
zindagii tuu ne to dhoke pe diyaa hai dhokaa
Firaq Gorakhpuri
is zindagii se ham ko na duniyaa milii na diin
taqadiir kaa mushaahidaa karate guzar gaii
Tilok Chand Mehroom
aish se kyon Khush huye, kyon gham se ghabaraayaa kiye
zindagii kyaa jaane kyaa thii aur kyaa samajhaa kiye
Moen Ahsan Jazbi
hamein to shaam-e-gham mein kaatanii hai zindagii apanii
jahaan vo hain, vahiin ai chaand, le jaa roshanii apanii
Unknown
saans lene ko hii jiinaa nahiin kahate hain
zindagii thii jo tere vasl kaa imkaan hotaa
Yusuf Zafar
vaadaa karake aur bhii aafat mein daalaa aap ne
zindagii mushkil thii, ab maranaa bhii mushkil ho gayaa
Jaleel Manikpuri
vo naam jis ke liye zindagii ganvaaii gaii
na jaane kyaa thaa, magar kuchh bhalaa bhalaa saa thaa
Mazhar Imam
zindagii kis tarah kategii saif
raat katatii nazar nahiin aatii
Saifuddin Saif
zindaa huun is tarah ki Gam-e-zindagii nahiin
jalataa huaa diyaa huun magar roshanii nahiin
Behzad Lakhanavi
ye jo zindagii kii kitaab hai ye kitaab bhii kyaa kitaab hai
kahiin ik hasiin saa Khvaab hai kahiin jaan levaa azaab hai
Rajesh Reddy
zindagii tuu ne lahuu leke diyaa kuchh bhii nahiin
tere daaman mein kyaa mere liye kuchh bhii nahiin
Rajesh Reddy
jiit le jaaye ko_ii mujhako nasiibon vaalaa
zindagii ne mujhe daave pe lagaa rakhaa hai
Qateel Shifai
zindagii kii bisaat par aksar
jiitii baazii bhii ham ne haarii hai
Tabish Dehlvi
ham bhii kyaa zindagii guzaar gaye
dil kii baazii lagaa ke haar gaye
Daag Dehlvi
zindagii kat gaii manaate huye
ab iraadaa hai ruuTh jaane kaa
Farhat Shehzad
kabhii dhuup de kabhii badaliyaa.N dil-o-jaan se donon qubuul hain
magar us mahal mein na qaid kar jahaan zindagii kii havaa na ho
Bashir Badr
paighaam zindagii ne diyaa maut kaa mujhe
marane ke intazaar mein jiinaa padaa mujhe
Safi Lucknawi
tum muhabbat ko khel kahate ho
ham ne barbaad zindagii kar lii
Bashir Badr
musiibat aur lambii zindagii
buzurgon kii duaa ne maar Daalaa
Muztar Khairabadi
Allah jaane maut kahaan mar ga_ii "Khumaar"
ab mujhako zindagii kii zaruurat nahiin rahii
Khumar Barabankvi
qatraa qatraa zindagii ke zahar kaa piinaa hai Gam
aur Khushii hai do ghadii piikar bahak jaane kaa naam
Anand Narain Mullah
vo kaun hain jinhen taubaa kii mil gaii fursat
hamen gunaah karane ko bii zindagii kam hai
Anand Narain Mullah
zindagii zindaadilii kaa naam hai
murdaa dil kyaa Khaak jiyaa karate hain
Nasikh
mutthiyon mein Khaak lekar dost aaye vaqt-e-kafan
zindagii bhar kii muhabbat kaa silaa dene lage
Aziz Lucknawi
mere Khudaa mujh ko thodii sii zindagii dede
udaas mere janaaze se jaa rahaa hai ko_ii
Qamar Jalalabadi
shaamen kisii ko maangatii hain aaj bhii "Firaq"
go zindagii mein yuun mujhe koii kamii nahiin
Firaq Gorakhpuri
ai dost yuu.N to ham terii hasarat ko kyaa kahen
lekin ye zindagii koii zindagii nahiin
Firaq Gorakhpuri
zindagii jab azaab hotii hai
aashiqii kaamayaab hotii hai
Unknown
zindagii shamaa kii maanind jalaataa huun "Nadeem"
bujh to jaauungaa magar subah to kar jaauungaa
Ahmed Nadeem Qasmi
zindagii hai apane qabze mein na apane bas mein maut
aadamii majabuur hai aur kis qadar majabuur hai
Ahmed Amethwi
zindagii kyaa hai anaasir mein zahuur-e-taratiib
maut kyaa hai unhiin ajzaa kaa pareshaan honaa
Brij Narain Chakbast
zindagii tujh se har ek saans pe samajhautaa karuun
shauq jiine kaa hai mujh ko magar itanaa to nahiin
Muzaffar Warsi
zindagii jis ne talKh kii merii
vo mujhe zindagii se pyaaraa hai
Suhail Akhtar
zindagii ke udaas lamhon men
bevafaa dost yaad aate hain
Unknown
zindagii ko bhii tere dar se bhikhaarii kii tarah
ek pal ke liye rukanaa hai guzar jaanaa hai
Ahmed Faraz
Mulaaqaat
Har mulaaqaat kaa anjaam
judaa_ii kyuu.N hai
ab to har vaqt yahii baat sataatii hai hame.n
Shahryar
Ab
kaun baat rah ga_ii ye baat bhii ga_ii
yaani kabhii kabhii kii mulaaqaat bhii ga_ii
Mubarak Azeemabadi
Aaj to mil ke bhii na mile ho.n tujh se
chau.nk uThate the kabhii terii mulaaqaat se ham
Jan Nissar Akhtar
Patthar hai tere haath me.n yaa ko_ii phuul hai
jab tuu qubuul hai teraa sab kuchh qubuul hai
phir tuune diyaa hai nayaa faisalaa mujhe
sar par abhii to pichhalii musaafat kii dhuul hai
tuu dil pe bojh leke mulaaqaat ko na aa
milanaa hai is tarah to bichha.Danaa qubuul hai
Unknown
Mai.n ne maanaa ke mujhe un se muhabbat na rahii
ham_nashii.n phir bhii mulaaqaat se jii Darataa hai
Hasan Naeem
Beqaraarii thii sab ummiid-e-mulaaqaat ke saath
ab vo agalii sii daraazii shab-e-hijraa.N me.n nahii.n
Altaf Husain Hali
Na
jii bhar ke dekhaa na kuchh baat kii
ba.Dii aarazuu thii mulaaqaat kii
Bashir Badr
Ye ek shab kii mulaaqaat bhii
Ganiimat hai
kise hai kal kii Khabar tho.Dii duur saath chalo
Ahmed Faraz
Kahaa.N vo shoKh mulaaqaat Khud se bhii na hu_ii
bas ek baar hu_ii aur phir kabhii na hu_ii
Jigar Moradabadi
Us ne kahaa itanii mulaaqaat bahut hai
mai.n ne kahaa ruk jaao abhii raat bahut hai
aa.Nsuu mere tham jaaye.n to phir shauq ke jaanaa
aise me.n kahaa.N jaaoge barasaat bahuut hai
Unknown
Munhasir
vaqt-e-muqarrar pe mulaaqaat hu_ii
aaj ye aap kii jaanib se na_ii baat hu_ii
Hasrat Mohani
Uzr aane me.n bhii hai aur bulaate bhii nahii.n
baa_is-e-tark-e-mulaaqaat bataate bhii nahii.n
Daag Dehlvi
Huuro.ns e na hogii ye madaaraat kisii kii
yaad aayegii jannat me.n mulaaqaat kisii kii
Bekhud Dehlvi
Chaa.Nd
nikalaa thaa magar raat na thii pahalii sii
ye mulaaqaat, mulaaqaat na thii pahalii sii
rang kuchh kam to huaa aaj tere milane se
ye alag baat ke vo baat na thii pahalii sii
Nasir Kazmi
Kaise kah duu.N ki mulaaqaat nahii.n hotii hai
roz milate hai.n magar baat nahii.n hotii hai
Shakeel Badayuni
Musaafir hai.n ham bhii musaafir ho tum bhii
kisii mo.D pe phir mulaaqaat hogii
Bashir Badr
Dil me.n hai mulaaqaat kii Khvaahish kii dabii aag
mehandii lage haatho.n ko chhupaa kar kahaa.N rakhuu.N
Kishwar Naheed
Nadeem jo bhii mulaaqaat thii adhuurii thii
ki ek chehare ke piichhe hazaar chehare the
Ahmed Nadeem Qasmi
Tujh
se mil kar hame.n ronaa thaa bahut ronaa thaa
tangii-e-vaqt-e-mulaaqaat ne rone na diiyaa
Sudarshan Faakir
Jaane vaale se mulaaqaat naa hone paa_ii
dil kii dil me.n hii rahii baat naa hone paa_ii
Shakeel Badayuni
Yaadein ( Memories)
us qadar pyaar se ai jaan-e
jahaaN rakkhaa hai
dil ke ruKhsaar pe is vaqt terii yaad ne haath
yuu.N gumaa.N hotaa hai garche hai abhii subah-e-firaaq
Dhal gayaa hijr kaa din aa bhii ga_ii vasl kii raat
Faiz Ahmad Faiz
yaad karanaa har gha.Dii us yaar kaa
hai vazifaa mujh dil-e-bimaar kaa
Wali Mohammad Wali
yaad kisii kii chaa.Ndanii ban kar koThe koThe utarii hai
yaad kisii kii dhuup hu_ii hai ziinaa ziinaa utarii hai
Bashir Badr
yaad kyaa dast-e-hunar hai ki sa.Nvarataa gayaa mai.n
us ko sochaa to use yaad hii karataa gayaa mai.n
Pirzaada Qaasim
yaad nahii.n kyaa kyaa dekhaa thaa saare manzar bhuul gaye
us kii galiyo.n se jab lauTe apanaa bhii ghar bhuul gaye
Nazeer Baqri
yaade.n chalii.n Khayaal chalaa ashk-e-tar chale
lekar payaam-e-shauq ka_ii naamabar chale
Hosh Tirmizi
fir mujhedeeda-e-tar yaad aaya
dil jigar tashna-e-fariyaad aaya
maktab-e-ishq kaa 'Momin' hai niraalaa dastuur
us ko chhuTTii na milii jis ko sabaq yaad huaa
Momin Khan Momin
har taraf ziist kii raaho.n me.n ka.Dii dhuup hai dost
bas terii yaad ke saaye hai.n panaaho.n kii tarah
Sudarshan Faakir
bahaaro.n ko chaman yaad aa gayaa hai
mujhe vo gul_badan yaad aa gayaa hai
Riffat Sultan
jab bhii aatii hai terii yaad kabhii shaam ke baad
aur ba.D jaatii hai afsurdaadilii shaam ke baad
Krishna Adeeb
shaam ko subah-e-chaman yaad aa_ii
kis kii Khushbuu-e-badan yaad aa_ii
Ahmad Nadeem Qaasmi
aye yaade dost aaj tu jii bhar ke dil dukha
shayad ye raat hijr ki aaye na phir kabhi
dil bhi karta hai yaad chhup ke tujhe
naam leti nahin zuban tera
kisse puchhoonga main khabar teri
kaun batlayega nishaan tera
Haider Ali Khan
Taqdeer (Fate)
Khudi ko kar buland itna ki har taqdeer ke pahle
Khuda bande se khud poochhe bataa teri raza kya hai
Allama Iqbal
Taqdeer kaa shikwa bemaani, jeena bhi tujhe manzoor naheen
Aap apna muqaddar ban na sake, itna to koi majboor naheen
Majrooh Sultanpuri
Lakhon ki suna tum ne taqdeer sanwarti hai
mujhse yahi keh dete abke teri baari hai
Shafaq Shah Chishti
Taqdeer ke chehre ki shikan dekh raha hoon
aainaa-e-haalaat hai dunia teri kya hai
Saghar Siddiqui
Kyo.n Munir apanii tabaahii kaa ye kaisaa shikavaa
jitnaa taqdiir me.n likhaa hai adaa hotaa hai
Munir Niazi
Diivaanaa banaanaa hai to diivaanaa banaa de
varnaa kahii.n taqdiir tamaashaa naa banaa de
Behzad Lucknawi
Is zi.ndagii se ham ko na duniyaa milii na dii.n
taqdiir kaa mushaahidaa karate guzar ga_ii
Tilok Chand Mehroom
Rusvaa_ii to vaise bhii taqdiir hai aashiq kii
zillat bhii milii ham ko ulfat ke fasaane se
Saeed Rahi
Kis tarah paayaa tujhe phir kis tarah khoyaa tujhe
mujh saa munkir bhii to qaa_il ho gayaa taqdiir kaa
Ahmed Faraz
Suna hai Haath mein Taqdeer hua karti hai
Kal yoonhi haath pe aik naam likha dair talak
Teri Chaahat Mein .. Tere Liye
terii ummiid teraa i.ntazaar jab
se hai
na shab ko din se shikaayat na din ko shab se hai
terii talaash me.n ham jab kabhii nikalate hai.n
ik ajanabii kii tarah raaste badalate hai.n
tere qariib rahuu.N yaa ki duur jaa_uu.N mai.n
hai dil kaa ek hii aalam tujhii ko chaahuu.N mai.n
tere qadamo.n pe sar hogaa qazaa sar pe kha.Dii hogii
phir us sajde kaa kyaa kahanaa anokhii ba.ndagii hogii
tere paas aane ko jii chaahataa hai
naye zaKhm khaane ko jii chaahataa hai
tere pyaar me.n rusavaa hokar jaaye kahaa.N diivaane log
jaane kyaa kyaa puuchh rahe.n hai.n ye jaane pahachaane log
tere milane ko bekal ho gaye hai.n
magar ye log paagal ho gaye hai.n
tere ishq kii intahaa chaahataa huu.N
merii saadagii dekh kyaa chaahataa huu.N
tere daaman kii havaa maa.Ngate hai.n
ham bhii jiine kii duaa maa.Ngate hai.n
tere baare me.n jab sochaa nahii.n thaa
mai.n tanhaa thaa magar itanaa nahii.n thaa
tere aane kii jab Khabar mahake
tere Khushbuu se saaraa ghar mahake
tere baGair ye ab zindagii kahaa.N guzare
qadam qadam pe tere saath kaa gumaa.N guzare
Ajnabi
Apnon ki
chaahaton ne bhi kyaa kya diye fareb
Rote rahe
lipat ke har ek ajnabi se hum
Kabhi aziz
thhe hum jinko zindagi ki tarah
Abhi qareeb
se guzre hain ajnabi ki tarah
Kiya thha
pyar jise hum ne zindagi ki tarah
Wo aashna
bhi mila hum se ajnabi ki tarah
Hazaron log
hain is bheed mein pahchan mushkil hai
Shanaasa
kis ko samjhoon aur kisko ajnabi samjhoon
Hote hote
ho gaya dil is qadar maanoos-e-gham
Ajnabi
maaloom hota hai khushi ka naam bhi
Bhari
mahfil mein khud ko ajnabi mahsoos karte hain
Batayen kya
kisi ko kya kami mahsoos karte hain
Apne to
bhool jaate hain apnon se kya gila
Ek ajnabi
ko apna pata de ke dekhiye
Kyon ajnabi
sa aaj hamen apna ghar lage
Yeh kya hua
ke apne hi saaye se dar lage
Wo ajnabi
thha phir bhi bahut toot ke mila
Tohfe mein
saadgi ki ada de gaya mujhe
Jahaan
bhooli hui yaad aake daaman thhaam le dil ka
Wahaan se
ajnabi ban kar guzar jaana hi achchhaa hai
Ajnabi kaun
ho tum jab se tumhen dekha hai
Saari
duniya meri aankhon mein simat aayee hai
Milne ko
woh mile hain magar ban ke ajnabi
Kuchch aise
haadse bhi hamen pesh aaye hain
DIL
Dil hii to hai na sa.ng-o-Khisht dard se bhar na aaye kyo.n
roye.nge ham hazaar baar ko_ii hame.n sataaye kyo.n
Mirza
Ghalib
Dil-e-naadaa.N tujhe huaa kyaa hai
aaKhir is dard kii davaa kyaa hai
Mirza Ghalib
Dil kii haqiiqat arsh kii azamat sab kuchh hai maaluum hame.n
sair rahii hai aksar apanii in paakiizaa makaano.n me.n
Mir Taqi Mir
Mere dil me.n tuu hii tuu hai dil kii davaa kyaa karuu.N
dil bhii tuu hai jaa.N bhii tuu hai tujhape fidaa kyaa karuu.N
Unknown
Phirate huye kisii kii nazar dekhate rahe
dil Khuun ho rahaa thaa magar dekhate rahe
Asar Lucknawi
Ab kyaa bataauu.N mai.n tere milane se kyaa milaa
irfaan-e-Gam huaa mujhe dil
kaa pataa milaa
Seemab Akbarabadi
Dekh to dil ke jaa.N se uThataa hai
ye dhuaa.N saa kahaa.N se uThataa hai
Meer Taqi Meer
Jalaa hai jism jahaa.n dil bhii jal gayaa hogaa
kuredate ho ab raakh justajuu
kyaa hai
Ghalib
Koii mere dil se puuchhe tere tiire niimakash ko
ye Khalish kahaa.n se hotii jo
jigar ke paar hotaa
Ghalib
Dil se Khayaal-e-yaar ko Taale huye to hai.n
ham jaan de ke dil ko sambhaale hue to hai.n
Fani Badayuni
Kisii ke jaur-o-sitam kaa to ik bahaanaa thaa
hamaare dil ko bahar-haal TuuT jaanaa thaa
Naresh Kumar Shad
Iskaa ronaa nahii.n, kyo.n tumane kiyaa dil barbaad
isakaa Gham hai ki bahut der
me.n barbaad kiyaa
Josh Malihabadi
Ek din kah liijiye jo kuchh hai dil me.n aapake
ek din sun liijiye jo kuchh hamaare dil me.n hai
Josh Malihabadi
Le gayaa chhiin ke kaun aaj teraa sabr-o-qaraar
beqaraarii tujhe ai dil kabhii
aisii to n thii
Bahadurshah Zafar
Dil ko kyaa ho gayaa, Khudaa jaane
kyo.n hai aisaa udaas kyaa jaane
Daag Delhavi
Dil le ke muft, kahate hai.n kuchh kaam kaa nahii.n
ulTii shikaayate.n huii.n,
ehasaan to gayaa
Daag Delhavi
Dil me.n ab yuu.n tere bhuule hue Gham aate hai.n
jaise bichha.De hue qaabe me.n
sanam aate hai.n
Faiz Ahmed
Faiz koii aahaT koii aavaaz koii chaap nahii.n
dil kii galiyaa.n ba.Dii sunasaan hai aae koii
Parvin Shakir
Dil naaumiid to nahii.n naakaam hii to hai
lambii hai Gam kii shaam magar shaam hii to hai
Faiz Ahmed Faiz
Tasviir (Photograph)
Terii
tasviir se karataa thaa baate.n
mere ghar
me.n aa_iinaa nahii.n thaa
-Abhijit Mazumder
Dekh ke jis
ko dil dukhataa thaa
vo tasviir
jalaa dii ham ne
-Farhat Shehzad
Chand
tasviir-e-butaa.N chand hasiino.n ke Khatuut
baad marane
ke mre ghar se ye saamaa.N nikalaa
-Mirza Ghalib
Ham un kii
tasviir dil me.n chhipaaye baiThe hai.n
Viiraan
zindagii me.n ek gul khilaaye baiThe hai.n
Muddato.n
pahale jab tujh se taarruf bhii na thaa
Terii
tasviir banaate the Khayaalat mere
Aap ne
tasviir bhejii mai.n ne dekhii Gaur se
har adaa
achchhii Khaamoshii kii adaa achchhii nahii.n
-Jaleel Manikpuri
Terii
suurat se nahii.n milatii kisii kii suurat
ham jahaa.N
me.n terii tasviir liye phirate hai.n
-Nasikh
Lab-e-Khaamosh
se izhaar-e-tamanna chaahe
Gark hone
ko bhii tasviir kaa lahajaa chaahe
Tasviir
banaata huu.N tasviir nahii.n banatii
ek Kavaab
saa dekhaa hai taabiir nahii.n banatii
-Khumar Barabankvi
Tasviir
terii dil meraa bahalaa na sakegii
ye terii
tarah mujh se yuu.n sharamaa na sakegii
Mohabbaton
Ka Safar
Safar me.n dhuup to hogii jo chal
sako to chalo
Sabhii hai.n bhii.D me.n tum bhii
nikal sako to chalo
Idhar udhar ka_ii ma.nzil hai.n
chal sako to chalo
Bane banaaye hai.n saa.Nche jo Dhal
sako to chalo
Kisii ke vaaste raahe. N kahaa. N
badalatti hai. N
Tum apane aap ko Khud hii badal
sako to chalo
-Nida Fazli
Safar me.n raah ke aashob se na Dar
jaanaa
Pa.De jo aag kaa dariyaa to paar
kar jaanaa
-Alam Tab ‘Tashna’
Safar-e-manzil-e-shub yaad nahii.n
Log ruKhsat huye kab yaad nahii.n
-Nasir Kazmi
Ham safar hotaa ko_ii to baa.NT
lete duuriyaa.N
Raah chalate log kyaa samajhe.n
merii majabuuriyaa.N
-Sardar Anjum
Chal mere saath hii chal ai meril
jaan-e-Ghazal
In samaajo.n. ke banaaye huye
ba.ndhan se nikal, chal
Ham cahaa. N jaaye jahaa. N pyaar
pe pahare na lage.n
Dil kii daulat pe jahaa.N ko_ii
luTere na lage.N
Kab hai badalla ye zamaanaa, tuu
zamaane ko badal, chal
-Hasrat Jaipuri
Chalate ho to chaman ko chaliye
Kahatae hai.n ki bahaaraa.N hai
-Meer Taqi Meer
pvious
Poetry:
Ankhon ka Maajra

Aankh se
aankh mila baat banata kyun hai
Tu agar
mujh se khafa hai to chhupata kyon hai
Saeed Rahi
Nazar mein
dhal ke ubharte hain dil ke afsane
Yeh aur
baat hai duniya nazar na pahchane
Sufi Ghulam Mustafa
Aankhon men
jii meraa hai idhar yaar dekhna
Aashiq kaa
apne aakhri deedaar dekhna
Meer Taqi Meer
Aankh jab
band kiya karte hain
Saamne aap
huaa karte hain
Saeed Raahi
Aankhon
mein jal raha hai kyun bujhta naheen dhuaan
Uthta to
hai ghataa saa barastaa nahin dhuaan
Gulzar
Aankh se
aankh milaata hai koi
Dil ko
kheenche liye jaata hai koi
Shakeel Badayuni
Aankh
padtii hai kaheen paaon kaheen padte hain
Sab ki hai
unko khabar apni khabar kuchch bhi naheen
Alam Taab Tashna
Aankh ko
jam samajh baitha thaa anjaane men
Saaqiya
hosh kahaan thhaa tere diivaane men
Shamim Shahabadi
Aankhon men
bas ke dil men samaa kar chale gaye
Khvaabidaa
zindagi thii jagaa kar chale gaye
Jigar Moraadabadi
Nazar nazar
se milaakar sharaab piite hain
Ham unko
paas bithaakar sharaab piite hain
|